Yaadein....

Unke sath hume ek mitha sa ehsas hota hia…

Unka hath pakad kar chalne ka bhi maan hota hia…

Hamara akelapan tk hume unke sath akele chor deta hai..

Ye kudrat ka karishma hi toh hia…jo registan mein bahar la deta hai…

"Back To Life..."


Tum hume yaad rakho na rakho…

Hm tumhe hamesha yaad karenge….

Tum bs chalte rahna..hai yakeen hume…

Ek din hum zaroor milenge…

Hu majbuur mein …ki abhi jana hai mujhe…

Lekin hamarre ashk hamesha tumhare sath rahenge…

Ho saka toh latunga zaroor…

Raha jaha bhi … Hamara wadda hai tumse..

Har dhadkan ke sath….hum tumhe yaad karenge….

"Back To Life..."

Comments

Popular posts from this blog

Mudato Ki Raho Mein....

Neend Bhi Atti Nahi...